Ghazal SMS, suno tum lot ao na

February 28th, 2010 by Shani | Filed under Ghazal SMS.

Suno tum lot ao na

woh dekho chand nikla hai

sitarai jagmagai hain

hamari muntazir ankhain

tumhain hi sochti ankhain

tumhain wapis bulati hain

Suno tum lot ao na……………

ye dil jab b dharakta hai

tumhara nam leta hai

ye ansu jab b behtay hain

tumharai dukh mai behtay hain

khushi koi jo ai b

tumharai bin adhuri hai

suno tum lot ao na

suno tum lot ao na

Tags: , , , ,

Leave a Reply